Wednesday, February 16, 2011

BOOKed

raat jab zindagi ki kitab ke panne palte
to chaand aur bhi door dikhaai diya,

kuch panno pe dhool jami thi
kuchh kaagaz hue phool bhi the

kya likha tha ye to padh nahi paaya
bas sihaai thi dhundhli si kuchh

kuchh mude hue kone the jo awaaz karte rahe
kuchh pe sher likhe the aur kuchh pe ghazalein...

likhai jo tab thi meri waisi abb nahiin
ke waqt ke jhonkon ne use bhi mod diya hai

kucch par chai ke nishaan the
aur kuchh panne khaali bhi mile

kaafi waqt laga kuchh panno ko palatne mein
ke kuchh pe maazi ka wazan kuchh zyaada hi tha

na jaane kyu nahii padh paaya apni hi zindagi ki kitaab main
ke vo sihaai dhundhli thi ya aankhon mein paani aa gaya tha..

No comments:

Post a Comment