Wednesday, February 23, 2011

when ?

ye lakht-e-jigar ki betaabi,
ek baar to keh do aaoge

main har taraf diye jalaunga,
ek baar to keh do aaoge

main kaa'be bhi aa jaaunga
mandir mein sar bhi jhukaaunga,
ek baar to keh do aaoge...

na sehraon ki aandhi mein
na samandar ki gehraai mein
vo kaunsa manzar hai jahaan tum ho
ek baar to keh do aaoge

'gar khuda ho to aate kyu nahiin saamne,
ye dasht(desert), ye haram (sacred place), ye maikhaane(bar/pubs)
tere hi to hain jahaan bhi hain
bolo miloge kahaan aakhir?
main wahaan basera banaaunga...
ek baar to keh do aaoge...

ye rahmat-e-aalam (the compassionate world) ke rehte bhi,
tumhein button (idols) mein hi dhoonda karte hain

tumhaare aane ka pata bhi qayamat ka din hai
vo qayaamat bhi kab aayegi
ek baar to keh do aaoge...
ek baar to keh do tum aaoge...

No comments:

Post a Comment